Saanp Se Bachney Ki Dua
Ibn
Abbas (Razi’allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki,
Rasool’allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Allah Se
Hazrate Hussain Wa Hasan (Razi’allahu Anhu) Ke Liye Panaah Talab Kiya Kartey
They
Aur Farmatey They Ki
Tumharey Buzurg Dada Ibrahim (Alaihay Salam) Bhi Ismaeel Aur Ishaq (Alaihi
Salam) Ke Liye Inhi Kalamat Ke Jariye Allah Ki Panaah Maanga Kartey They.
Dua
: A’oodhu
Bikalimatillahi-Tammatti Min Kulli Shaytaanin Wa Hammatin Wamin Kulli ‘Aynin
Lammatin
(Tarjuma :
Main Panaah Maangta Hun Allah Ki Purey Purey Kalamat Ke Jariye, Har Shaitan Se
Aur Har Zahreele Janwar Se Aur Har Nuqsaan Pahunchaney Waali Nazar-E-Bad Se.)
:
Sahih Bukhari, Vol-4, #Hadees-3371
Saanp
Se Bachney Ki Dua
Jo Shakhs Raat Ke Pehlay Hissa Aur Din Ke Pehlay Hissa Mein Yeh Dua Parh Le Woh
Saanp Aur Bchhho Aur Choor Se Mehfooz Rahay Ga :.
عَقَدْتُّ لِسَانَ الحَیَّۃِ وَ زَبَانَ الْعَقْرَبِ وَیَدَ السَّارِقِ
بِقَوْلِ اَشْھَدُ اَنْ لَّا اِلٰہَ اِلَّا اللّٰہُ وَ اَشْھَدُ اَنَّ مُحَمَّدًا
رَّسُوْلَ اللّٰہِ
Hayat-Ul-Haiwan Vol: 1. P: 227-230)
Saanp
Dasne Ka Damm !
Sorah Alhamd (Fatiha) Shareef With Sorah Ikhlaas With بِسْمِ اللّٰہِ
الرَّحمٰنِ الرَّحِیْمِ Teen
Baar Parh Kar Saat Sabz Shaakhon Ke Sath Damm Kare, Shaakhen Daidh Haath Lambi
Hon.(Sanad Az Fqihh Azam Alaihi Alrhmh )
Khawab
Mein Saanp Ko Dekhna Dushman Ki Bhi Alamat Hai. Dost Ki Bhi Aur Aurat Ki Bhi.
Agar Saanp Dsne Ko Dora To Dushman Ki Alamat Hai Aur Agar Iss Ne Saanp Ko Bulaa
Khauf Pakar Liya To Doulat Milay Gi Aur Jis Ne Saanp Ko Apne Bistar Par Maar
Dala Iss Ki Aurat Mar Jaye Gi, Agar Saanp Ne Khawab Mein Duss Liya Aur Woh
Jagah Sooj Gayi To Doulat Milay Gi.
Hukum
(Law Ruling In Islam)
Haraam Hai (Hayat-Ul-Haiwan Vol: 1. P: 236-237)
Bichoo (Scorpion) Se Bachne Ki Dua
Ek Shaksh Rasoollallah
Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Paas Aaya Aur Bola," Ya Rasoollallah
Sallallahu Alaihi Wasallam, Mujhe Badi Takleef Pahunchi Us Bichchoo (Scorpion)
Se Jisney Raat Ko Mujhe Kaata".
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya,
"Agar Tu Shaam Ko Ye Kah
Leta
A’oodhu Bi Kalimaati-Allaahit-Tammaati Min Sharri Ma
Khalaq
أَعُوذُ بِكَلِمَاتِ اللهِ
التَّامَّاتِ مِنْ شَرِّ مَا خَلَقَ
To Tujhe Takleef Nahi Pahunchati".
Sahih Muslim , Vol 6, 6880
Next 5 Post Coming
Soon
Contact Us By
Call
At-07328016390
Email-ruhaniduniya111@gmail.com
No comments:
Post a Comment