Taskheere Hamzad
Muslim & None Muslim Amal-1
Amal Takreeban
3×2=6 Murabba Fut Ka Aayena La Kar Apne Makhsoos Kamre Ki Shimali Deewar Par Is
Tarah Aaveza Kiya Jaaye Ki Aamil Khada Ho Kar Apne Upar Ka Nisf Jism Is May
Dekh Sake Ab Aamil Dono Aabruoon Ke Darmiyan Nazar Jama Kar Is Yaqeene Muhkam
Ke Sath Dekhe Aur Khayaal Kare Ki Ab Anqareeb Hi Hamzad Se Mulakat Hone Wali
Hai Aamil Palak Jhapkne Na De Aankhe Thak Jaaye To Bagair Palak Jhapkaye
Upar Chhat Ki Janib Dekhne Lage Aur Do-Teen Minat Bad Hi Dobara Nigah Wapas Le
Aaye Ye Mashq Pandhrah Roz Tak Ek Ghanta Roz Jaari Rehne Ke Bad Safed Dhue Ki
Manind Hamzad Ka Huyoola Sa Nazar Aana Shuru Ho Jaayega Ab Mazeed Inhimak Ke
Sath Mashq Badhta Rehna Chahiye Hatta Ki Ek Din Hamzad Huyoola Baqayda Mutshql
Aur Mujassm Surat May Samne Aa Jaayega Hamzad Ki Hazri Ke Bad Isse Baqayda
Muaahda Aur Qul V Iqraf Lena Aamil Ki Hoshiyari Par Mokoof Hai Hum Is Silsile
May Aagaz Hi Mai Badi Tafseelat De Chuke Hai Is Hamzad Se Akhlaq Ke Sath Pesh
Aana Aamil Ki Zimeedari Hai Wo Isse Tamaam Jayaz Kaam Le Sakta Hai Kya Khabre
Aur Dusre Asrare Sarbsta Maslan Chori, Bimari Mafroor Ka Pata Lagana Vgaira Sab
Zara Si Der May Maloom Ho Jaate Hai
Muslim
& None Muslim Amal-2
Aamil Bahisa Babjde
Qamri Apne Naam Ke Aadad Nikale Aur In Aaadad May Qanoon Ke Gyarah Aadad Mazeed
Shamil Kare Ab Jo Aadad Hasil Ho Utni Hi Bar Apne Naam Ke Sath Lafz
"Ya" Ka Izafa Kar Ke Vird Kare Aur Nazar Apne Saaye Ki Gardan Par
Rakkhe Ye Amal Raat Ko 12 Baje Shuru Kiya Jata Hai Pusht Par Chameli Ke
Tel Ka Chiraag Roshan Kar Ke Taqreeban Do Fut Bulandi Par Rakhna Chahiye
Andazan Gyarah Mah May Hamzad Muskhqar Ho Kar Samne Aa Jaayega Baqi Amal
Hidayaat Guzishta Hona Chahiye Doorane Amal Nagha Hargiz Na Hona Chahiye Varna
Amal Zaya Ho Jaayega Aur Tamaam Mehnat Par Pani Phir Jaayega Agar Aisi Galati
Ho Jaaye To Amal Aaz Sare Nav Shuru Kar Dena Chahiye Tark Karna Munasib Nahi
Hai |Is Hamzad Se Bhi Hasbe Muaahda Pesh Aana Chahiye Aur Hargiz Muaahde Ki Khilafvzo
Kar Ke Khud Ko Museebat May Na Dalna Chahiye Behtar Yahi Hai Ki Har Qisam
Ke Hamzad Se Lete Waqt Usse Mashvra Le Liya Jaaye Ki Fula Kaam Karna Kaisa
Rahega
Muslim
& None Muslim Amal-3
Kisi Gair Aabad Ya
Veeran Maidan May Pehle Se Ek Jagah Saaf Aur Humvar Kar Ke Amil Ko Pehle Se
Taiyar Rakhna Chahiye Jab Mahe Qamri Ki Saath Tareeq Aaye Paak-Saaf Ho Kar Shab
Ki Chouthi Saaat May Waha Pahuch Jaaye Aur Magrib Ki Taraf Muh Kar Ke Khada Ho
Jaaye Ya Aalti-Palti Mar Kar Baith Jaaye Aur Kuch Der Apni Nigah Apne Saaye Ki
Gardan Par Jamaye Jab Kuch Thakan Mehsoos Kare Fouran Bagair Palak Jhapkaye
Aasman Ki Taraf Dekhne Lage Yahi Amal Ghanta Savaghanta Jaari Rakkhe Aur Rozana
Waqt E Muqarrar Par Usi Jagah Chala Jaaye Apne Amal Ka Iaada Kare Chand Roz
Baad Doorane Mashq Ya Wazeefa Jab Aasmaan Par Nigah Utha Kar Dekhega Upar Bhi
Waisa Hi Saaya Nazar Aayega Rafta Rafta Ye Saaya Mutshkkal Hota Chala Jaayega
Aur Ek Din Amil Ki Shaql Ikhtiyar Kar Lega Jab Hamzad Guftagu Kare Aur Aapne
Aap Ko Amil Ki Supurdgi Mai De De To Us Waqt Amil Usse Muaahda Karne Ke Liye Un
Hidayaat Par Amal Kare Jo Beshtar Maqamaat Par Likhi Jaa.Chuka Hai
Muslim
& None Muslim Amal-4
Aamileen Hamzad Ke
Liye Humara Ye Amal Intehaai Soodmand Hai Aur Iski Ek Badi Khubi Ye Hai Ki
Aasan Bahut Hai Aamil Ek Surkh Rang Ka Langout Bandh Kar Kadde Aadam Aayine Ke
Samne Seedha Khada Ho Jaaye Aur Apne Aqs Par Is Tarah Nazar Gaade Ki Palak Na
Jhapak Paaye Aur Tasvvur Kisi Buzurg Vagaira Ka Karta Rahe Neez Ye Niyat
Bhi Mustahkm Rahe Ki Mai Hamzad Ko Taskheer Kar Raha Hun Jab Nazar Ko Quwwat
Bardash 14 Minat Ki Hasil Ho Jaaye To Baith Jaaye Aur Tasvvur Barkrar Rakhe 14
Din May Kamiyabi Yaqeeni Hai Hamzad Zahir Ho Kar Samne Aa Jaayega Us Waqt
Bataye Hue Tareeqo Ko Kaam May Late Hue Usse Muaahda Kar Le Or Is Muaahde May
Puri Tarah Ehtiyat Se Kaam Le Aur Har Baat Saaf Tour Par Usse Tey Kar Le |
Mubham Aahad V Pemane Mai Nuksaan Barah-Surat Amil Ko Huaa Karta Hai Ye
Muvakkil Bada Zabardast Hai | Bilkhuloos Har Qism Ke Muqablo Ko Qayam Karane
May Laajawab Slaahiyate Rakhta Hai Umoomn Pehlwan Is Amal Se Bahut Fayda Uthate
Hai Bade Bade Khelo Ke Professor Is Hamzad Se Hi Kaam Le Kar Logo Ko
Varta-E-Hairat May Dal Dete Hai
Muslim
& None Muslim Amal-5
Aamileen Hamzad Se
Humari (Istidaaa) Ki Ab Jo Amal Hum Pesh Kar Rahe Hai Wo Sirf Aise Hazraat Ke
Liye Hai Jo Apne Aamaal Ka Muhasba Rakhne Par Qadir Ho Aur Kisi Halat May Bhi
Najayaz Khuvahishat Ke Muteeaa Na Ho Amil Ko Chahiye Ki Subha Suraj Nikalne Se
Qalb Mangal Ko Ek Ghanta Pehle Kisi Sehra-E-Barhngi May Mashrik Ki Taraf Nazar
Jama Kar Khada Ho Jaaye Aaftaab Nikle To Tiktikee Bandh Kar Dekhe Ye Amal Us
Waqr Tak Jaari Rakkhe Jab Tak Ki Suraj Mai Kaafi Tezi Na Aa Jaaye Aur Nazar Na
Thehr Sake Jab Nazar Suraj Par Se Hate To Fouran Rukh Pher Le Aur Apne Saaye Ki
Gardan Ko Ghanta Sava Ghanta Dekhte Rahe Taqreeban 40 Doz Bad Rozana Koi
Ghudsavar Aa Kar Tarah-Tarah Ke Sawalat Karega Amil Ko Is Par Hargiz Iltifat Na
Karna Chahiye Aur Na Apna Amal Tark Karna Chahiye Sawar Khud-Ba-Khud Chala
Jaayega Aakhirkaar Ek Shaqs Amil Ko Apni Hi Shaql Ka Namoodar Hoga Aur Puchega
Ki Tu Kya Chahta Hai Us Waqt Amil Ko Chahiye Usse Kahe Ki Mai Jab Tujhai Apne
Naam Se Bulau Hazir Huaa Kar Aur Maire Kaamo May Mairi Madad Kiya Kar Wo Iqraar
Kar Ke Chala Jaayega Is Tarah Ye Amal Paya-E-Taqmeel Ko Pahuch Kar Deen V
Duniya Ki Manfat Pahucha Sakta Hai
Muslim
& None Muslim Amal-6
Aamil Ek
Nihayti Paak-Saaf Makan Ka Intezam Kare Us Makan May Siwaye Aamil Ke Kisi Aur
Shaqs Ka Guzar Na Hona Chahiye Baqayda Qlayi Kar Ke Use Amal Ke Qabil Bana Lena
Chahiye Khushbooyat Bhi Sulga Le Aur Bilkul Barhna Ho Kar Magribee Deewar Par
Ki Tarah Muh Kar Ke Baith Jaaye Apne Peeche Chameli Ke Tel Ka Chiraag Roshan
Kare Itna Uncha Ki Amil Ka Saya Uske Muqabil Ho Ab Alim Ko Apne Saaye Ki Garnad
Par Mukammal Tavjjuh Ke Sath Nazar Gada Deni Chahiye Aur Hum:Auqaat Ye Khyal
Dilnasheen Rakhna Chahiye Ki Mai Hamzad Se Mulaqat Kar Raha Hu Aur Nazar Thakne
Lage To Fauran Chhat Ko Dekhna Chahiye Laikin Palak Na Jhapkne Paye Daurane
Amal Amil Ko Roshan Dayre Ya Mukhtalif Rango Ki Cheeze Nazar Aane Lagegi Amil
Ko Chahiye Ki Is Par Iltifat Kiye Bagair Apna Amal Jaari Rakkhe Aur Bila Khauf
V Khatre Kamiyabi Ki Taraf Rawa--Dawa Rahe Amal Qamri Mah Ki Yakum Tareekh Se
Shuru Karna Chahiye Aur Us Waqt Tak Jaari Rahe Jab Tak Ki Hamzad Zahir Na Kar
Amil Ka Mudda Na Maloom Kare Jab Hamzad Zahir Ho To Guftagu Ka Aagaz Apni Taraf
Hargiz Na Kare Balki Amal Jaari Rakkhe Jab Hamzad Hi Apne Hazir Kiye Jaane Ka
Sabab Puche To Bataye Ki "Mai Tujhai Apna Bas May Karna Chahta Hu"
Uske Bad Muaahda Kare Aur Khatikhuwah Fayda Utthaye
Muslim
& None Muslim Amal-7
Muslim
& None Muslim Amal-8
Muslim
& None Muslim Amal-9
Muslim
& None Muslim Amal-10
:::
Note-Bina Izajat Ke Amal Nai Karna Warna Jaan Bhi Jaa Sakta Hai Kyun Ke Mukammal
Tarika Nai Likhe Hain Hum (Please Share)