Friday, 20 May 2016

Hamzad Umumi (Amal)

Taskheere Hamzad
Muslim & None Muslim Amal-1
Amal Takreeban 3×2=6 Murabba Fut Ka Aayena La Kar Apne Makhsoos Kamre Ki Shimali Deewar Par Is Tarah Aaveza Kiya Jaaye Ki Aamil Khada Ho Kar Apne Upar Ka Nisf Jism Is May Dekh Sake Ab Aamil Dono Aabruoon Ke Darmiyan Nazar Jama Kar Is Yaqeene Muhkam Ke Sath Dekhe Aur Khayaal Kare Ki Ab Anqareeb Hi Hamzad Se Mulakat Hone Wali Hai  Aamil Palak Jhapkne Na De Aankhe Thak Jaaye To Bagair Palak Jhapkaye Upar Chhat Ki Janib Dekhne Lage Aur Do-Teen Minat Bad Hi Dobara Nigah Wapas Le Aaye Ye Mashq Pandhrah Roz Tak Ek Ghanta Roz Jaari Rehne Ke Bad Safed Dhue Ki Manind Hamzad Ka Huyoola Sa Nazar Aana Shuru Ho Jaayega Ab Mazeed Inhimak Ke Sath Mashq Badhta Rehna Chahiye Hatta Ki Ek Din Hamzad Huyoola Baqayda Mutshql Aur Mujassm Surat May Samne Aa Jaayega Hamzad Ki Hazri Ke Bad Isse Baqayda Muaahda Aur Qul V Iqraf Lena Aamil Ki Hoshiyari Par Mokoof Hai Hum Is Silsile May Aagaz Hi Mai Badi Tafseelat De Chuke Hai Is Hamzad Se Akhlaq Ke Sath Pesh Aana Aamil Ki Zimeedari Hai Wo Isse Tamaam Jayaz Kaam Le Sakta Hai Kya Khabre Aur Dusre Asrare Sarbsta Maslan Chori, Bimari Mafroor Ka Pata Lagana Vgaira Sab Zara Si Der May Maloom Ho Jaate Hai 
Muslim & None Muslim Amal-2 
Aamil Bahisa Babjde Qamri Apne Naam Ke Aadad Nikale Aur In Aaadad May Qanoon Ke Gyarah Aadad Mazeed Shamil Kare Ab Jo Aadad Hasil Ho Utni Hi Bar Apne Naam Ke Sath Lafz "Ya" Ka Izafa Kar Ke Vird Kare Aur Nazar Apne Saaye Ki Gardan Par Rakkhe Ye Amal Raat Ko 12 Baje Shuru Kiya Jata Hai  Pusht Par Chameli Ke Tel Ka Chiraag Roshan Kar Ke Taqreeban Do Fut Bulandi Par Rakhna Chahiye Andazan Gyarah Mah May Hamzad Muskhqar Ho Kar Samne Aa Jaayega Baqi Amal Hidayaat Guzishta Hona Chahiye Doorane Amal Nagha Hargiz Na Hona Chahiye Varna Amal Zaya Ho Jaayega Aur Tamaam Mehnat Par Pani Phir Jaayega Agar Aisi Galati Ho Jaaye To Amal Aaz Sare Nav Shuru Kar Dena Chahiye Tark Karna Munasib Nahi Hai |Is Hamzad Se Bhi Hasbe Muaahda Pesh Aana Chahiye Aur Hargiz Muaahde Ki Khilafvzo Kar Ke Khud Ko Museebat May Na Dalna Chahiye  Behtar Yahi Hai Ki Har Qisam Ke Hamzad Se Lete Waqt Usse Mashvra Le Liya Jaaye Ki Fula Kaam Karna Kaisa Rahega
Muslim & None Muslim Amal-3
Kisi Gair Aabad Ya Veeran Maidan May Pehle Se Ek Jagah Saaf Aur Humvar Kar Ke Amil Ko Pehle Se Taiyar Rakhna Chahiye Jab Mahe Qamri Ki Saath Tareeq Aaye Paak-Saaf Ho Kar Shab Ki Chouthi Saaat May Waha Pahuch Jaaye Aur Magrib Ki Taraf Muh Kar Ke Khada Ho Jaaye Ya Aalti-Palti Mar Kar Baith Jaaye Aur Kuch Der Apni Nigah Apne Saaye Ki Gardan Par Jamaye Jab Kuch Thakan Mehsoos Kare Fouran Bagair Palak Jhapkaye Aasman Ki Taraf Dekhne Lage Yahi Amal Ghanta Savaghanta Jaari Rakkhe Aur Rozana Waqt E Muqarrar Par Usi Jagah Chala Jaaye Apne Amal Ka Iaada Kare Chand Roz Baad Doorane Mashq Ya Wazeefa Jab Aasmaan Par Nigah Utha Kar Dekhega Upar Bhi Waisa Hi Saaya Nazar Aayega Rafta Rafta Ye Saaya Mutshkkal Hota Chala Jaayega Aur Ek Din Amil Ki Shaql Ikhtiyar Kar Lega Jab Hamzad Guftagu Kare Aur Aapne Aap Ko Amil Ki Supurdgi Mai De De To Us Waqt Amil Usse Muaahda Karne Ke Liye Un Hidayaat Par Amal Kare Jo Beshtar Maqamaat Par Likhi Jaa.Chuka Hai
Muslim & None Muslim Amal-4
Aamileen Hamzad Ke Liye Humara Ye Amal Intehaai Soodmand Hai Aur Iski Ek Badi Khubi Ye Hai Ki Aasan Bahut Hai Aamil Ek Surkh Rang Ka Langout Bandh Kar Kadde Aadam Aayine Ke Samne Seedha Khada Ho Jaaye Aur Apne Aqs Par Is Tarah Nazar Gaade Ki Palak Na Jhapak Paaye Aur Tasvvur Kisi Buzurg Vagaira Ka Karta Rahe  Neez Ye Niyat Bhi Mustahkm Rahe Ki Mai Hamzad Ko Taskheer Kar Raha Hun Jab Nazar Ko Quwwat Bardash 14 Minat Ki Hasil Ho Jaaye To Baith Jaaye Aur Tasvvur Barkrar Rakhe 14 Din May Kamiyabi Yaqeeni Hai Hamzad Zahir Ho Kar Samne Aa Jaayega Us Waqt Bataye Hue Tareeqo Ko Kaam May Late Hue Usse Muaahda Kar Le Or Is Muaahde May Puri Tarah Ehtiyat Se Kaam Le Aur Har Baat Saaf Tour Par Usse Tey Kar Le | Mubham Aahad V Pemane Mai Nuksaan Barah-Surat Amil Ko Huaa Karta Hai Ye Muvakkil Bada Zabardast Hai | Bilkhuloos Har Qism Ke Muqablo Ko Qayam Karane May Laajawab Slaahiyate Rakhta Hai Umoomn Pehlwan Is Amal Se Bahut Fayda Uthate Hai Bade Bade Khelo Ke Professor Is Hamzad Se Hi Kaam Le Kar Logo Ko Varta-E-Hairat May Dal Dete Hai
Muslim & None Muslim Amal-5 
Aamileen Hamzad Se Humari (Istidaaa) Ki Ab Jo Amal Hum Pesh Kar Rahe Hai Wo Sirf Aise Hazraat Ke Liye Hai Jo Apne Aamaal Ka Muhasba Rakhne Par Qadir Ho Aur Kisi Halat May Bhi Najayaz Khuvahishat Ke Muteeaa Na Ho Amil Ko Chahiye Ki Subha Suraj Nikalne Se Qalb Mangal Ko Ek Ghanta Pehle Kisi Sehra-E-Barhngi May Mashrik Ki Taraf Nazar Jama Kar Khada Ho Jaaye Aaftaab Nikle To Tiktikee Bandh Kar Dekhe Ye Amal Us Waqr Tak Jaari Rakkhe Jab Tak Ki Suraj Mai Kaafi Tezi Na Aa Jaaye Aur Nazar Na Thehr Sake Jab Nazar Suraj Par Se Hate To Fouran Rukh Pher Le Aur Apne Saaye Ki Gardan Ko Ghanta Sava Ghanta Dekhte Rahe Taqreeban 40 Doz Bad Rozana Koi Ghudsavar Aa Kar Tarah-Tarah Ke Sawalat Karega Amil Ko Is Par Hargiz Iltifat Na Karna Chahiye Aur Na Apna Amal Tark Karna Chahiye Sawar Khud-Ba-Khud Chala Jaayega Aakhirkaar Ek Shaqs Amil Ko Apni Hi Shaql Ka Namoodar Hoga Aur Puchega Ki Tu Kya Chahta Hai Us Waqt Amil Ko Chahiye Usse Kahe Ki Mai Jab Tujhai Apne Naam Se Bulau Hazir Huaa Kar Aur Maire Kaamo May Mairi Madad Kiya Kar Wo Iqraar Kar Ke Chala Jaayega Is Tarah Ye Amal Paya-E-Taqmeel Ko Pahuch Kar Deen V Duniya Ki Manfat Pahucha Sakta Hai 
Muslim & None Muslim Amal-6
 Aamil Ek Nihayti Paak-Saaf Makan Ka Intezam Kare Us Makan May Siwaye Aamil Ke Kisi Aur Shaqs Ka Guzar Na Hona Chahiye Baqayda Qlayi Kar Ke Use Amal Ke Qabil Bana Lena Chahiye Khushbooyat Bhi Sulga Le Aur Bilkul Barhna Ho Kar Magribee Deewar Par Ki Tarah Muh Kar Ke Baith Jaaye Apne Peeche Chameli Ke Tel Ka Chiraag Roshan Kare Itna Uncha Ki Amil Ka Saya Uske Muqabil Ho Ab Alim Ko Apne Saaye Ki Garnad Par Mukammal Tavjjuh Ke Sath Nazar Gada Deni Chahiye Aur Hum:Auqaat Ye Khyal Dilnasheen Rakhna Chahiye Ki Mai Hamzad Se Mulaqat Kar Raha Hu Aur Nazar Thakne Lage To Fauran Chhat Ko Dekhna Chahiye Laikin Palak Na Jhapkne Paye Daurane Amal Amil Ko Roshan Dayre Ya Mukhtalif Rango Ki Cheeze Nazar Aane Lagegi Amil Ko Chahiye Ki Is Par Iltifat Kiye Bagair Apna Amal Jaari Rakkhe Aur Bila Khauf V Khatre Kamiyabi Ki Taraf Rawa--Dawa Rahe Amal Qamri Mah Ki Yakum Tareekh Se Shuru Karna Chahiye Aur Us Waqt Tak Jaari Rahe Jab Tak Ki Hamzad Zahir Na Kar Amil Ka Mudda Na Maloom Kare Jab Hamzad Zahir Ho To Guftagu Ka Aagaz Apni Taraf Hargiz Na Kare Balki Amal Jaari Rakkhe Jab Hamzad Hi Apne Hazir Kiye Jaane Ka Sabab Puche To Bataye Ki "Mai Tujhai Apna Bas May Karna Chahta Hu" Uske Bad Muaahda Kare Aur Khatikhuwah Fayda Utthaye
Muslim & None Muslim Amal-7
Muslim & None Muslim Amal-8
Muslim & None Muslim Amal-9
Muslim & None Muslim Amal-10
:::
Note-Bina Izajat Ke Amal Nai Karna Warna Jaan Bhi Jaa Sakta Hai Kyun Ke Mukammal Tarika Nai Likhe Hain Hum (Please Share)

No comments:

Post a Comment