Toozeehate
Hamzad
Hamzad Ke Bare May
Kuch Aamileen Ka Qol Hai Ki Wo Insaan Ke Sath Hi Paida Hote Hai Aur Insaan Ke
Sath Hi Mar Jaate Hai | Laikin Baaz Kehte Hai Ki Yeh Paida To Insan Ke Sath
Hote Hai Laikin Marta Kabhi Nahi | Insaan Ki Mout Ke Bad Aazad Rehta Hai |
"Hamzad" Insaan Ki Mout Ke Bad Fana Ho Jaye Ya Zinda Rahe Hume Isse
Koi Behs Nahi Aur Na Hi Is Behs Ka Koi Fayda Hai | Duniya Ka Mamooli Se Mamooli
Kaam Bhi Bagair Taqat Sarf Kiye Nahi Ho Sakta | Ab Gaur Kijiye To Taqate
Be--Shumar Tareeqo Se Hasil Hoti Hai Laikin In Tamaam Tareeqo Ko Do Usoolo Par
Taqseem Kiya Jata Hai | Ek Qism Qudrati Aur Dusri Gair--Qudrati Ya Iktisaabi
Hoti Hai | Taskhor Hamzad Iktisaabi Neeyat Se Mutaalliq Hai | Aur Aamil Ko Iske
Iktisaab Ke Liye Badi-Badi Mushkil Aur Duswar-Tareen Raaho Se Guzarna Padta Hai
| Bilkhusoos Wo Log To Khatraat Ke Ain Qareeb Hote Hai Jo Aadme Waqfiyat Ki
Bina Par Galat Tareeqo Par Amal Karte Ya Amal Ke Tareeqo May Manmaani Karwaayi
Ka Tajurba Karte Hai | Uloome Roohaniyat Ho Ya Mehz Hepnatizium Sab May Gehre
Inhimak, Musthkam Tawjjuh, Fiqr ,Yaksooi-E-Qalb Mustqil--Mijaazi, Tasavvure
Aafreeni , Yaqeene Kamil Aur Iztimaae Kuvvat Ki Sakht Zarurat Hai | Iske
Baraaqs Satahee Gour V Fiqr Be-Yaqeeni, Muntashir Aur Pargnda Khyalaat Aur
Aarzee Karwaiyo Ka Aamil Hona Kisi Tarah Bhi Qamiyabi Ke Qareeb Nahi Lata |
Tahrate Nafz Aur Pakeezgi-E-Badan Amaale Roohaniyat May Laazmi Shraeet Hai | Jo
Log Zaheeri Aur Bateeni Tarah Se Be-Niyaaz Ho Kar Is Qism Ke Aamal Karte Rehte
Hai Unhai Kisi Na Kisi Din Iski Bhari Qeemat Adaa Karni Padti Hai | Goki Baaz
Amliyaat Kiye Hi Us Waqt Jate Hai Ki Jab Insaan Puri Tarah Bahalte Najs Ho,
Jinhai Sifli Amliyaat Se Mousoom Kiya Jata Hai | "Sifli Amliyaat" Ka
Darja Kya Hai | Ye Maloom Karne Ke Liye Aap Sahibe Zameer Aur Bashoor Logo
Raaye Daryaft Farmaye --- Barhaal Sifli, Sifli Hai Aur Noori Noori | Hum Har
Nuqta-E-Fiqr Ke Aamil Ki Sahoolat Ke Pesh-E-Nazar Har Qism Ke Amliyaat Pesh
Karenge | Jo Aainda Safhaal May Dekh Jaa Sakte Hai | Har Shakha Ki Pasand Juda
Hoti Hai Isi Liye Hum Is Behs Ko Tool Dena Khilaf-E-Usool Samjhte Hai |
"Taskheer Hamzad" Ke Mahir Aamileen Khaal-Khaal Hai Jo Aawamunnas Se
Alaahda Apni Ek Duniya Basaye Hue Hai | Neez Unhone Maslhtan Apne Tajurbat Ko
Ikhfaae Raaz Ke Tour Par Aam Nahi Kiya | Isi Liye Is Zimn May Kaafi Mawaad Mojud
Nahi Hai | Guzshta Rooaae Sadi May Humne Intihaai Faraakh-Dili Ke Sath
Buzurgaane Deen, Mahireene Uloom V Funoon, Aalameene Falkiyaat V Roohaniyaat,
Gavvasane Bahre Hiqmat V Keemiya V Leemiya Aur Sheedayaane Istidarak Ke Razhaae
Seena Ko Aam Kar Dene Ki Sae-E-Masood Ki Hai | Chunancha Zere Nazar Kitaab Bhi
Isi Silsile Ki Ek Kadi Hai | Humari Is Mehnate Shaqqa Ka Azr Sirf Usi Waqt Mil
Sakta Hai Jis Waqt Kaareine Kiram Kmahqkuhoo Mustafeed Ho Kar Hume Duaa Khair
Se Yaad Farmaye |
Kya
Taskheere Hamzad Gunah Hai?
Hum Aur Aap Us
Zamane May Paida Hue Hai Jise Modern Zamana Kehte Hai | Nayi Roshni Ke Log
Achanak Hi Kisi Waqiye Ke Pesh Aa Jane Par Jadeedul-Jadeed Uloom-Funoon Ki
Madat Lete Hai Aur Aasani Se Sehr, Ajinna, Hamzad, Roohaniyat Aur
Muwqikleen-Amliyaat Agairah Ke Qayal Nahi Hote Aur In Basko Tavhhumat Gardante
Hai | Aapne Aksar Dekha Hai Ki Jaha Kahi Dur Aaz Fahm Ya Baeed Aaz Qyaas
Riwayat Bayan Ki Jaati Hai Log Tanziya Musukurate Aur Ajeeb-Ajeeb Nazro Se
Dekhte Hai | Misal Ke Tour Par Aap Kisi Jinn Ke Karname Bayan Kar Rahe Hai Aur
Tamam Waqiaat Hqaeq Par Mabni Hai | Laikin Sunne Wale Kisi Halat May Bhi Us
Waqtvtak Aap Ki Baato Ko Sahi Nahi Tasleem Karenge Ki Jab Tak Koi Na Koi
Waqiaawo Khud Apni Aankho Se Nahi Dekh Lete | Yahi Haal Moaajizaat, Karamat,
Sehr Aur Jaadu Wagairah Ka Hai | Lakin Ek Din Aata Hai Jab Moaatriz Hazarat
Chashme Khud Koi Na Koi Herat-Angez Waqiaa Dekhte Hai Aur Unhai Iska Eaateraf
Karna Hi Padta Hai Ki Duniya May Mavraai Taqato Ka Wadood Naqabile Inkar Hai |
"Aalif Lela", "Tilisme Hoshrooba" Aur "Dastane Aameer
Hamza" Qism Ki Kitabo May Ja-Bja In Hairatangez Cheezo Ka Ziqr Mojud Hai
Jo Aaj Mojud Hai | Aur Dekha Jaa Sakti Hai | Maslan Hwayi Jahaaz Aapke Samne
Udte Hai Aur Ek Din May Aapko Kahi Se Kahi Pahucha Dete Hai To Koi Wajah Nahi
Ki Udankhatola, Lakdi Ka Ghoda Aur Isi Qism Ki Dusri Cheeze (Laakh Mafrooza
Sahi) Tavhhumat Gardani Jaaye | Aaj Kal Rail-Gadi Jo Kal Tak Shetani Shoaabda
Tha Kis Kadar Kaam Aa Rahi Hai | Aapki Zindagi Kis Had Tak Be-Kaif Muaattl
Nazar Aaye ? Takreeban Der Do Sadi Pehle Agar Telephone, Television, Redio,
Bijli Ke Balf Aur Inke Alawa Jadeed-Tareen Ijaadat Par Mushtamil Koi Naval
Likha Jaata Tha To Uski Haisiyat Aalif Laila, Tilisme Hoshrooba, Aur Chahar
Darvesho Ke Qisse Ki Si Hoti, Halaki Aaj Yahi Cheeze Humari Zindagi Ka Laazmi
Juzb Ban Gayi Hai Aur Bagair In Ke Hum Zindgi Ke Har Maidan May Mohtaj Aur Gair
Musllah Nazar Aate Hai | Humare Shoaaba-E-Roohaniyat V Falqiyat Ke Ek Sargaram
Aur Nihayathi Mazhab-Parast Rooqn Safdar Gannoori Hai | Aap May Se Aksar Hazrat
Ne Unke Mazameen Ser V Shayri, Nujoom Jafar, Hindsa Aur Raml Vagaira
"Mahnama Aayena-E-Qismat", Lahore May Farmaye Honge | Ye Hazarat Bhi
Aam Logo Ki Tarah Sher V Shayro, Nuzoom V Jafar Aur Hindsa V Raml Vagaira Ko
Baat Karna Gunah May Shamil Samjhte The Aur Apni Samjh Ke Mutabik Is Silsile
May Intehaa-Pasandi Ka Suboot Bhi Dete The | Laikin Jan Se Unke Khayalat May
Haqeeqat-Pasndi Apni Intikayi Manzil Tay Karti Hui Nuqta-E-Meaaraj Ko Pahuchi
To Tamam Uloom Se Is Kadar Mohabbat Paida Ho Gayi Ki Gunah Aur Savab Ki Pastiya
Aur Bulandiya Hech Ho Kar Reh Gayi | Wo Khud Iska Izhar Karte Hai Ki 1940 E°
May Mai Jab Metric May Tha To Shayari Se Nafrat (Bakhyal Gunah) Hone Ki Wajah
Se Imtihaan May Hissa-E-Nazm Ko Chuta Bhi Nahi Tha | Wo, Wo Waqt Tha Ki Jab Mai
Zahir Aur Batin Dono Aitbaar Se Kattar Muslim Nazar Aata Tha | Laikin Ek Aisa
Din Bhi Aaya Jab Maine Iske (Shayri Ke) Alawa Bhi Deegar Uloom Ke Manfi V
Musbat Pehluo Par Gour Kiya Aur Aapkhir Is Nateeje Par Pahucha Ki:--- Ilm Ek
Talvar Hai --- Aap Agar Talvar Lekar Maidan E Jang May Kud Jaaye Aur Kushto Ke
Pushte Laga Den To Aap Ka Naam Mujahido Ki Ferrist May Shamil Hoga | Aapko
Savab Bhi Milega | Aap Ghaazi Bhi Kehlaaye Jaayenge | Agar Qatl Ho Gaye To
Shaheedo Ka Rutba Bhi Paayenge | Laikin Agar Yahi Talvar Le Kar Apne Shehr Ke
Muhalle Ke Ghar Ke Aadmi Ko Qatl Kar Denge To Qatil, Zalim, Jabir Aur
Insaniyatkush Kehlaye Jaayenge | Duniya Malamat Karegi Aur Aap Par Muqadma Bhi
Qayam Hoga | Aapko Phansi Bhi Ho Sakti Hai | Aur Gunah Bhi Lazim Aayega | Dekha
Aapne Aapne Talvar Ek Hai, Kaam Bhi Ek Hi Hai Laikin Neeyat Ke Etbaar Se Aur
Talvar Se Kaam Galat Ya Sahi Lene Ki Wajah Se Dono Ke Anjam May Kitna Farq Hai
| Yahi Wajah Hai Ki Maine Na Sirf Shayri Ko Apnaya Balki Un Uloom Se Bhi
Dilchaspi Li | Jinhai Aamtour Par Navaqifyat Ki Bina Par Gunah Mutsvvar Kiya
Jata Hai | Halaki In Uloom Se Fez-Rasani Ho Sakti Hai Aur Savab Kamaya Jaa
Sakta Hai | Mazhab Ne Ilm Hasil Karne Ki Zarurat Par Zyada Se Zyada Zor Diya
Hai Aur Ilm Hi Wo Sheh Hai Jisne Hume Har Makhlooq Par Sharf Baqsha Hai | Is
Haqeeqat Ke Peshe Nazar Kisi Ilm Ya Faan Par "Gunah Ka Thappa" Laga
Dena Munasib Nhi | Qaynat Ki Har Sheh Humare Hi Fayde Ke Liye Hai | Ye Chaand,
Suraj, Sitare, Burooj, Thand Aur Garm Hawae, Khusqi Aur Tari Sab Hume Apni
Taskheer Ki Dawat Deti Hai | Aur Hum Inki Khidmat Se Istifada Karna Hi Chahiye
| Inki Taskheer Ke Liye Khalike Araz V Sma Ne Hume Hikmat V Istidarak Se
Bahrhvar Kiya Hai | Inse Fayde Na Uthana Allah Ki Neaamjato Se Mfar Hai |
Shukrane Neaamat Ka Sahi Tareeqa Ye Hai Ki Jab Insaan Apni Danai Se Kisi Ilm Ya
Faan Se Mutmttaa Ho To Rifaahe Aam Ke Tareeqe Bhi Muhiyya Kare | Varna Use Khud
Ka Ashraful-Makhooqat Ke Jumre Se Bahar Samjhna Chahiye | Khaadim Shaah
Zanjaani Ke Is Izhare Haqeeqat Ke Bad Qareine Kiram Apne Liye Makam Talash Kar
Sakte Hai Ki Wo Taskheer Hamzad Se Kya Fayda Utha Sakte Hai | Kashtiya Wo Hi
Taira Karti Hai Jo Barbanaye Khuloos Taiyar Ki Jaati Hai Aur Jin May Aam
Mafadaat Ka Tahffuz Wabasta Ho
:::
Most Share
No comments:
Post a Comment