Thursday 19 May 2016

Hamzad Saitani (Amal Sifli)

Taskheere Hamzad-1 
Gair-Shiksta V Nasifta Bandar Ki Khopdi Hasil Kar Ke Aamil Is May Peshaab Kiya Kare Jab Ye Pura Ho Jaaye To Is May Tulooe Aaftaab Se Qbl Chorahe Ki Mitti Aur Apne Badan Ka Mael Shamil Kare Aur Achchi Tarah Gundhe Aur Ise Putle Ki Shakal Den Jiske Baqayda Tmaam Aaaza Numaya Ho Ye Putla Itna Bada Ho Ki Khopdi May Let Sake Putle Ko Khopdi May Litaa Kar Aur Peshab Kare, Phir Apne Kisi Bhi Hissa-E-Jism Ka Qatra-E-Khoon Nikal Kar Is May Daal Den Aur Chalees Roz Tak Bawaqte Subha Putle Ki Peshani Par Nazar Jamaye Hue Hasbe Zel Mantar Padhe Aur Rozana Gud Aur Ghee Ka Nichod Dalta Rahe Amal Bezrr Ho Chaleesve Roz Hamzad Zahir Ho Jaayega Mantar Ye Hai "Hanuman Keshav Jangal Chrat Dharti Dehu" Dhat Ke Dhara Babbarbasu Bhrat Chust Mart Cheete Uth Guru Teri Duhaayi Muslman Aamileen Is Qism Ke Amliyaat Apni Zimmedari Par Kare Humne Ye Amal Sirf Gair-Muslim Aamileen Ke Isitfaand Ke Liye Pesh Kiya Hai Jo Hume Sifli Amliyaat Ke Mahireen Se Dastyab Huaa Hai Iske Aur Bhi Sifli Amliyaat Pesh Kiye Jaa Rahe Hai In Sab Ke Liye Humari Maaruzaat Yahi Hai Duaago Aamil Shaah Zanzaani Rah
Taskheere Hamzad-2
Zel Ka Sifli Amal Taskheere Hamzad Bilkul Aam Hai Yaha Hum Batour Isitfada Ise Aam Zubaan Aur Sahl Tareeqe Se Pesh Karte Hai Iske Aamil Ko Ek Aise Shakhs Ki Talash May Rehna Chahiye Jo Yakshmba (Itwar) Sehshmba (Manglwar) Ko Mare Agar Mumkin Ho To Halat E Nazaaaa May Yeh Jumla Uske Gosh-Guzar Kar De Ki: "Tumhara Tosha Hazir Hai" Jab Wo Mar Jaaye To Uske Pas Se Zara Bhi Na Hile Jab Gusal De Diya Jaaye To Wo Ruyi Haasil Kare Jo Bawaqt-E-Gusal Uske Kaano Naak Aur Muh May Is Garz Se Laga Dete Hai Ki Gusal Ka Paani Andar Na Jaane Paaye Sabki Nazar Bacha Kar Murde Ke Kaam May Kahe Ki Mai Raat Ko Aaunga Ruyi Ko Mehfooz Kar Le Janaze Ke Sath Kabristan Jaaye Tmaam Raste "Ya Baasu" Padhte Rahe Wapsi May Kisi Se Klaam Kiye Bagair Apne Ghar Aa Jaaye Do Moti-Moti Rotiyan Aur Ek Aate Ka Chiraag Taiyaar Kar Le Is May Ghee Aur Us Ruyi Ki Battiya Dale Jo Murde Se Hasil Ki Thi Rotiyo Par Ghee Aur Gud Rakh Le Aur Raat Ko 12 Baje Kabristan Pahuch Kar Is Kabr Par Chiraag Roshan Kare Chiraag Ka Rukh Magrib Ki Taraf Hona Chahiye Aur Aamil Ko Uski Tarah Muh Karna Chahiye Aur Pasht Janib-E-Magrib Ab Aamil Ko Bagair Shumaar Kiye" (Arabic Word) Padhna Chahiye Tasawwur May Us Murde Ki Shaql Rakhni Zaruri Hai 2 Hi Ghante Bad Kabar Shak Hoti Hui Mehsoos Hogi Aur Sahibe Mazar Samne Aa Jaayega Usse Khauff V Andosha Na Karna Chahiye Balki Dono Rotiyan Usko Khila Deni Chahiye Murde Ke Roti Talab Karne Par Aamil Ko Chahiye Ki Usse Wada Le Ki Wo Uske Kaam Aayega Aur Roti Us Waqt Tak Nahi Den Jab Tak Wo Wada Na Kar Le Agar Murda Kaamo Ki Tafseel Malum Kare To Apne Kaamo Ki Ek Ferrist Uske Samne Bayaan Kare Aur Usse Muaahda Karte Waqt Koi Aisi Shart Na Maan Le Ki Jise Pura Karna Dushwar Ho
Taskheere Hamzad-3
Aamil Qamro Maheene Ki 10 Ya 17 Tareekh Ko Kisi Hindu Marne Wale Ka Khyal Rakkhe Jo Achanak Mar Gaya Ho Kisi Taweel Aalaalat Se Nahi Mutvffee Ko Kafnane Se Qalb Gehri Nazar Se Dekhe Aur Uska Tasawwur Mustahkm Kar Lena Aamil Ka Sab Se Pehla Kaam Hoga Iske Bad Aamil Uski Arthi Ke Sath Shamshan Bhumi Tak Jaaye Iski Aakhri Rusoomat May Shirkat Kare Aur Hum: Auqaat Mutvffi Ka Tasawwur Dil V Dimag May Lata Rahe Jale Hue Murde Se Aahista Ke Sath Kahe Ki Mai Aaj Raat Tere Pass Aaunga Wapas Aakar Ek Katori Dudh Ya Koi Phal Muhiyya Kare Aur Ise Le Kar Raat Ke Waqt Kafi Chandni May Jale Hue Murde Ki Chita Ke Paao Ki Tafar Khada Ho Jaaye Aur Bagaur Murde Ki Gardan Par Nazar Jama Le Tasawwurat Bhi Sahibe Chita Ka Ho Ye Kaam Shuru Karne Se Kalb Apne Gird Chaaku Ya Lohe Ki Churi Se Ek Hisar Zarur Kheech Le Aur Murde Ki Gardan Par Us Waqt Tak Nazar Jamaaye Rakkhe Jab Tak Aankh Thak Na Jaaye Muh Se Kehte Rahe "Pyaare Hamzad , Pyaare Hamzad Jald Aa Ab Mujhai Mazeed Na Tarsa" Aankhe Thak Jaane Par Maaa Dhudh Ya Phal Wapas Aa Jaaye Aur Subha Ko Wo Dudh Ya Phal Bachcho Ko Taqseem Kar De Dusre Roz Bhi Wo Hi Amal Kare Aur Wo Hi Cheez Sath Le Jaaye Jo Roz Avval Le Gaya Tha Cheez Ko Daaye Hath Par Rakkhe Aur Amal Ke Waqt May Kuch Na Kuch Izafa Karta Rahe, Taki Mashq Badh Jaaye Nazar Thakne Lage To Aasman Ki Taraf Teen Minat Bagair Palak Jhapkaye Dekhne May Koi Haraj Nahi Hai Chalees Din Hone Par Hamzad Samne Aa Jaayega Wo Dudh Ya Phal Talab Karega Laikin Aamil Ko Har Cheez Us Waqt Tak Na Deni Chahiye Jab Tak Ki Wo Apni Gulami Qubool Kar Ke Aamil Ki Ishraait Ke Mutabik Muaahda Na Kare
Taskheere Hamzad-4
Sirf Bure, Napasandeeda Aur Zulm V Sitam Ke Kaam Lene Wale Aamileen Ko Chahoye Ki Ruyi Aur Sarso Ka Tel "Kaali" Ke Mandir May Le Jaa Kar Murti Ke Pass Rakkhe Aur Use Roshan Karen Sharab Ki Ek Botal Aur Bakre Ka Ek Sar Bhi Sath Hona Chahiye Jo Aamil Kaali Nazr Kar Dega Aamil Ka Gosht Kaane Aur Sharab Peene Ka Aadi Hona Zaruri Hai, Phir Aamil "Kaali" Ke Mathe Par Sindur Ka Teeka Laga De Aur Uske Gale May Phulo Ka Har Bhi Dale Aur Samne Khada Ho Kar "Kaali" Ka Mujssma Apne Dil V Dimag May Achchi Tarah Se Bitha Le Aur Ye Mantar Padhe  "Aong Har Yang Kleeng Shree Kalkae Nam:"Iske Bad Rozana Bagair Sharab Aur Gosht Kaali Ke Mandir May Aata Rahe Aur Murti Ke Samne Khada Ho Kar Pure Inhimak Ke Sath Mantar Padhe Mantar Padhne Ki Taadat Ek Hazar Martba Hai Ek Hafte Bad Jab Dil V Dimag Par "Kaali" Ke Mujssme Ka Tasawwur Achchi Tarah Chaa Jaaye To Samjhna Chahiye Ki Kaam Hasbe Mansha Aur Taslli-Bakhsh Hai Doraane Amal Naga Bilkul Na Kare, Iktaalish Roz May Qamiyabi Ho Sakti Hai Is Waqt Mandir May Se Saaye Ki Shaql May"Kaali" Ka Hamzad Samne Aa Kar Khud Ko Aamil Ki Supurdgi May Paish Kar Dega "Kaali" Ka Ye Hamzad Aamil Ke Kisi Nek Kaam May Madadgar Sabit Nahi Hoga Isse To Napaak, Sharmnak Aur Berehmi Ke Kaam Liye Jaa Sakenge Is Par Amal Karne Ke Bad Koi Shaqs Muslman Baqi Nahi Reh Sakta Lihaza Muslman Ko Ye Amal Karne Se Pehle Apni Aaqabat Par Nazar Zarur Kar Leni Chahiye Ye Usi Ki Zimmedari Hai Ye Amal Bhi Hindu Aamileen Tazkheere Hamzad Se Hasil Karda Hai Aur Wo Hi Iski Sehat V Aadam Sehat Ke Zimmedar Hai Is Silsile May Hume Koi Tajurba Ya Mashahda Nahi Huaa Taham Qayaas Hai Ki Itni Mehnat Karne Ke Bad Aamil Khali Hath Nahi Rahega
Taskheere Hamzad-5
Ye Amal Bhi Amal E Taskheere Hamzad Ki Tarah Us Aamileen Ke Istifade Ke Liye Likha Jaa Raha Hai Jo Tabaan, Berehm Khuda Na-Shnaas Aur Sharmnak Kartuto Ke Hamil Hote Hai Aur Jinki Khuwahish Hum:Auqaat Makhlooq E Khuda Ko Gazand Pahuchane Ki Huaa Karti Hai Aamil Ko Hum: Auqaat Napaak V Najis Rehte Hue Apna Amal Jaari Rakhna Hoga Ye Amal Mukhtsar Se Waqt May Qamiyabi Ki Manzil Ko Pahucha Deta Hai | Aamil Kafi Taadad May Ek Chorahe Ki Mitti Laa Kar Jama Kar Le Jo Chorahe Se Laa Kar Ikatthi Ki Gayi Thi Makhrooti Shaql Ye H Har Makhroot Aadha Ya Pona Inch Uncha Ho Phir Sab Ko Har Zarurat Se Farigh Ho Kar Apne Is Veeran V Khali Kamre May Chala Jaaye Jo Apne Is Amal Ke Liye Pehle Se Makhsoos Kiya Gaya Ho Kamre May Pahuch Kar Chirag Sarso Ke Tel Ka Roshan Kare, Jiski Batti Bahut Moti Ho Aamil Chiraag Ki Taraf Pusht Kar Ke Baith Jaaye Aur Apne Saaye To Gardan Jamaa Kar Ek-Ek Makhroot Par Iktaalis-Iktaalis Bar (Arabic Word) Padhe Amal Khtam Kar Ke Wahi So Jaaye Aur Subha Hote Hi Kisi Sunsaan Kuwe May Jis May Pani Mojud Ho Aur Kisi Ne Pani Na Nikala Ho To Tamam Makhroot Dal De Aur Wapas Aa Jaaye Aur Raat Ko Amal Padhne Ke Liye Phir Iktaalis Makhroot Banaye Aur Raat Ko Banate Hue Amal Dohraye Aur Subha Phir Usi Kuwe May Makhroot Dal Aaye Isi Tarah Se Saat Din Tak Amal Karta Rahe Amal Ke Khatme Par Hamzad Hazir Ho Jaayega Is Waqt Usse Soch Kar Batate Hue Tareeqe Par Qol V Karar Yani Muaahda Kare | Iske Bad Gusal Kar Sakte Hai 
Taskheere Hamzad-6
Hakeem Merik Rofs Ka Behtreen Amal Hakeem Merik Rofs Ka Qol Hai Ki Apne Khoon Ka Ek Qatra Le Kar Apne Mathe Par Kashqa Lagaye Aur Jummerat Ko Zohra Ki Saaat May Alif Nagna Ho Kar (Arabic Word) Ka Wird Kare Aur Nazar Apne Saaye Ki Gardan Par Jamate Hue Ye Khyal Kare Ki Bus Ab Hamzad Se Mulakat Hone Hi Wali Hai Doorane Amal Kisi Se Mukhatab Na Hona Chahiye Warna Amal Zaya Ho Jaayega Khoon Ka Teeka Peshani Par Sirf Pehle Roz Hi Lagana Hai Mukammal Teen Chile Hone Par Jab Ek Makrooh Soorat Se Mulaqat Ho Usse Muaahde Ki Takmeel Kare Wo Hi Hamzad Hoga Doorane Amal Jab Chiraag Kisi Wajah Se Gul Ho Jaaye Jo Pusht Par Takreeban Do Fut Buland Hoga Amal Tark Kar De Aur Khamoshi Se Apne Ghar Chala Aaye Aur Wapsi May Chiraag Sath Le Aaye Chiraag Ki Batti Kafi Moti Honi Chahiye Chiraag May Tel Sarso Ka Ho Amal Tern Ghante Tak Bila-Nagha Padhna Hai Ye Hamad Bhi Nek Kaamo Se Gurez Karega Aur Bure Kaamo Se Khush Hoga
Taskheere Hamzad-7 
Chorahe Ki Mitti Kafi Taadat May Jama Kar Li Jaaye Aur Isse "11767" Ghalle Banay Jaaye Jo Baqdre Nisf Inch Qatar Ke Ho Ye Taadat Amal Ke Dooran Bhi Puri Ki Ja Sakti Hai Ek Hafte Ka Amal Hai Rozana "1681" Ghalle Par Ek--Ek Bar (Arabic Word) Padhe Aur Unhai Subha Hote Hi Kisi Tareek Kuwe May Jis May Pani To Ho Laikin Subha Hi Subha Koi Na Nikalta Ho Dal De Raste May Aate Aur Jaate Waqt Kisi Se Guftgu Na Kare Apna Ye Amal Nochandi Mangal Se Shuru Kare Doorane Amal Aamileen Najis V Napak Rahe Amal Khatm Kar Ke Gusal Kar Sakta Hai Amal Shuru Karne Se Khatm Karne Tak Hum:Auqaat Hamzad Ke Tasawwur May Gark Rahe Hamzad Ke Zahir Hone Par Btaaye Hue Tareeqe Par Amal Kare Aur Is Hamzad Se Bhi Tamam Aise Kaam Le Jo Neki Se Dur Kar De Aur Burayi Ki Taraf Zyada Se Zyada Mael Kare  
Taskheere Hamzad-8
Taskheere Hamzad-9
Taskheere Hamzad-10

:::
Note-Bina Izajat Ke Amal Nai Karna Warna Jaan Bhi Jaa Sakta Hai Kyun Ke Mukammal Tarika Nai Likhe Hain Hum (Please Share)



No comments:

Post a Comment