For None Muslim Amal-1
Aamila Ek Kadde Aadam Ayina Ke Samne Barhan
Khadi Ho.Jo Kamre Ki Shimaali Deewar Per Zaawiya Kaayema Per Aaweja Ho.Aur Apne
Hamzad Ka Tasawwur Karte Huwe Apni Gardan Ke Aks Per Nazar Jama Le.Iske Sath
300 Martaba Padhe "Om Hareng Parmudaye Suwaaha." Phir 2 Minute Ke
Liye Apni Nazar Chhat Per Le Jaye Iske Baad Wapas Apne Aks Ki Gardan Per Nazar
Jamaye Aur Phir 300 Martaba Padhe Yahi Mantar Padhe .Aur Iske Baad Phir Chhat
Per 2 Minute Tak Nazar Jamaye.Teesri Martaba Bhi Is Amal Ka Eeada Kare Aur Amal
Khatam Kar De Is Tarah Dhayi Maah Tak Karti Rahe .Aur Hum:Aukat Yehi Sochti
Rahe Ki Ab Hamzad Se Mulaqat Hone Wali Hai Amal Ki Muddat Poori Hone Per Hanzad
Hazir Ho Jayega Aur Aamil Ke Mu-Aahade Kr Baad Uske Tamaam Kamo Me Madad
Hoga.Amil Ko Bhi Lazmi Hai Ki Wah Rifahe Aam Ki Rawish Ikhtyar Kare . Khilaf
Mazhab Aur Muashre Aur Insaniyat Ke Khilaf Koi Kaam Na Kare .Nek Niyati Se Kaam
Leti Rahe.Khudu Aur Uske Bando Ka Khayal Uske Dil Me Humesha Jaagurzi Rahe
Warna Duniya Me Logo Ko Badi Badi Kuwwate Haasil Ho Chuki Hai.Unme Se Baaz Ne
Neki Me Naam Paida Kiya Hai Aur Baaz Ne Badi Me.Is Duniya Me Raawan Jaisa
Taqatwar Raja Guzra Hai Jiske Gurur Ne Uski Duniya Aur Aakrat Dono Kharab Kar
Di.Aur Isi Duniya Me Ram Chandr Aur Krishna Jaise Nek Log Bhi Paida Ho Chuke
Hai Jinka Naam Izzat Wa Takreem Ke Sath Humesha Liya Jata Rahega. Is Amliyate
Taskheere Hamzad Ke Likhne Ke Baad Allah Ta'ala Se Dua Hai Ki Bila Imtiyaaz
Mazhab Wa Millat Jo Aamileen Inse Najaiz Faida Uthayega Unhe Jazaye Khair Ata
Kare.
For None Muslim Amal-2
Gair Muslim Aamil Ek Aise Kamre Ka Intikhab
Kare Jaha Kisi Aur Ke Aane Ke Imkaan Naa Ho.Raat Ki Teesri Sa-At Me Kamre Me
Daakhil Ho Kar Ek Chirag Takreeban 2 Foot Ki Bulandi Par Jalaye Aur Bilkul
Maadarzaad Barhana Ho Kar Chirag Ki Taraf Pusht Kar Ke Baith Jaiye .Chiraag Me
Ghee Ya Tel Kaafi Mikdaar Me Ho.Aur Iski Batti Kaafi Moti Ho .Is Intizaam Ke Baad
Apni Nazar Apne Poore Saaye Par Jamaye Huwe 20 Martaba Padhe "Jagah
Mabaaye Namah: Godiya Namah:" Phir Nazar Chhat Ki Taraf Le Jaa Kar 7
Martaba Yahi Mantar Padhe.Iske Baad Nazar Phir Apne Saaye Ki Gardan Par Jama
Kar Apne Mantar Me 108 Martaba Mazekura Mantar Pura Kare Ye Amal Rojana Isee
Tarah Aur Ek Waqt Shuru Kiya Jayega.Amal Khatam Kar Ke Usi Jagah So Rahe
Kisi Kism Ki Awaaz Ya Khaufnak Shakal Ka Khauf Dil Me Na Laaye.Uth Te Biath Te
Har Waqt Apne Hamzad Ka Tasawwur Karti Rahe Taqreeban Ek Maah Baad Hamzad
Musakkhar Ho Kar Jahir Ho Jaye Aur Ar Mauhaada Pe Amaada Ho
For None Muslim Amal-3
Aamila Sabse Pahle Kisi Shay Ka Intikhaab Kare Jo Wah Rozana Muhayya Kar Sake.Ya Wahi Shay Kamaz Kam Us Waqt Tak Kharab Na Ho Jabtak Ki Amal Ki Muddat Khatam Na Ho Jaye.Maslan Bataashe,Misri Ya Koi Khane Ki Cheez Aur Apna Amal Shuru Karne Ke Liye Us Makaan Per Chali Jaye Jo Us Maqsad Ke Liue Pahle Se Mutayyan Kiya Huwa Ho.Yeh Makaan Bilkul Sunsaan Hi.Raat Ka Waqt Ho .Chandni Khili Ho . Us Waqt Aamila Apne Daaye Hath May Wo Shay Rakkhe Aur Hath Faila De Aur Apne Saaye Ki Gardan Par Nigah Jamate Hue Apne Hamzad Or Uski Taskheer Ka Khyal Paida Kare .Aankhe Bojhal Ho Jaaye Ya Nazar Thak Jaaye To Nazar Palak Jhapkate Hi Aasman Par Gaad De Aur Chand Minat Baad Phir Apne Saaye Ki Gardan Par Dekhne Lage . Kuch Aarsa Bad Aasman Par Saaya Sa Nazar Aayega . Neez Uske Apne Saaye May Bhi Harqat Mehsoos Hogi . Aamila Uski Taraf Iltifat Kiye Bagair Apna Amal Jaari Rakkhe . Tasawwur Aafreeni, Josh E Amal, Inhimak Aur Kamil Tawwaju Ke Nateeje May Jab Hammad Samne Aa Kar Khane Ki Cheez Talab Kare To Usse Is Baat Ka Iqrar Le Ki Jab Use Bulaya Jaaye To Hazir Ho Aur Jo Kaam Bataya Jaaye Use Sar-Anjam De . Ye Isi Tarah Muaahda Karega Jis Tarah Hum Pehle Likh Aaye Hai .Muaahde May Kisi Qism Ka Ibham, Shaq Ya Gunjalkpan Hargiz Na Hona Chahiye. Jo Baat Ho Bilkul Saaf Saaf Ho. Jab Muaahda Ho Jaaye To Wo Shey Hamzad Ko De De . Aur Muaahde Ke Mutabik Use Hazir Kar Ke Apne Zaruri Aur Nek Kaam Karaye. Muaahde Ki Pabndi Badi Zaruri Hai .Agar Zara Bhi Lagzish Ho Gayi To Hamzad Tabah Kar Dega . Hamzad Ye Iqrar Bada Zaruri Hai Wo Hum:Auqat Se Samne Na Rahe Sirf Bulane Par Hazir Ho .Warna Wo Hum:Auqat Samne Rahega . Hum:Auqat Kaam Ka Takaza Karega Aur Aamila Ke Liye Jeena Mushkil Ho Jaayega
For Muslim Amal-4
Aam Taur Per Aamileene Taskheere Hamzad Ko Hidayat
Hoti Hai Ki Wah Kisi Sunsaan Makaam Par Jaa Kar Apna Amal Shuru Kiya Kare,Lekin
Hamare Is Amal Me Aamila Ko Kahi Bahar Jane Ki Zaroorat Nahi Hai.Aamila Apne
Liye Alaa'hadaa Kamre Ka Imtiyaaz Kare Ya Na Kare Subah Sawere Charpayi Se Uth
Te Waqt Aaftab Uski Nazro Ke Saamne Hi Aur Wah Lete Hi Lete Surah Se Ankhe Char
Kar Sake.15 Minute Tak Suraj Ki Taraf Dekhne Ke Baad Apne Pairo Per Nigah
Daale.5 Minute Baad Nazar Phir Suraj Per Jama Le Is Tarah Ek Ghanta Tak Karti
Rahe.Kuch Arsa Baad Aamila Ko Asmaan Per Pahle Siyah Aur Phir Safed Dhabba
Nazar Ayega.Jo Roz Baroz Failta Chala Jayega.Yeh Dhabba Use Apne Pairo Per Bhi
Nazar Aane Lagega .Is Amal Ke Silsile Ne Apne Mutallikeen Ko Yeh Hidayat Zaroor
Deni Chahiye Ki Koi Shaks Uske Is Amal Me Dakhal Andaaj Na Ho Niz Kisi Kism Ka
Shor Wa Gul Ya Koi Aisi Harqat Na Kare Jisse Uski Taswwur Aafreeni Aut
Inhimaake Amal Me Khalal Wakay Ho Dauran Amal Yakeen Wa Aitemadse Kaam Lete
Huwe Yahi Taswwur Kare Ki Ab Hamzad Se Mulakaat Hona Hi
Chahti Hai Mutzakkara Dhabbe Insani Shakal Me Tabdeel Hona Shuru Ho Jayege,Ek
Or Din (Takreeban Ek Mahina Me)Khaufnak Awaazo Ka Yah Rishtedaro Se Takhatub Ka
Izafa Hoga. Aamila Ko Apna Amal Jaari Rakhna Chahiye Jab Hamzad Zahir Ho Kar
Hamkalaam Ho Usse Muahadaa Kare Aur Apni Is Kamyaabi Se Bani Naue Isan Ko Bhi
Faiz Pahuchaye .Hamzad Se Badsuluqi Har Aamil Wa Aamila Ko Nuksan Pahucha Sakta
Hai.Isliye Humesha Apne Hamzad Se Khush Khalki Se Pesh Aana Chahiyeq.Amileen Ko
Gosht ,Mubasharat Aur Dusre Wah Tamam Lazaiz Tarq Kar Dene Chahiye.Jo In Aamiliyaat
Me Bataur Parhez Diye Gaye Hai
For Muslim Amal-5
Aamil Har Nijaat Se Paak Ho Kar Aabaadi Se Door
Kisi Sunsaan Makaan Per Apne Amal Keliye Jagah Mut Ayan Kare.Usay Paak Saaf Aur
Humwar Karne Ke Baad Khusbuyat Jala De.Waqt Magrib Ke Fauran Baad Ho.Ehraam
(Begair Sila Hua Kapda) Apne Jism Per Bandh Le Aur Magrib Ki Taraf Muh Kar Ke
Khadhi Ho Jaye Us Waqt Uski Nigaah Apne Saaye Ki Gardan Per Jami Honi
Chahiye.Palak Katayi Na Jhapkaye .Jis Waqt Waqt Nazar Thakan Lage Asman Ki
Taraf Dekhe Aur Chand Minute Aasman Per Dekhne Ke Baad Nazar Dobara Apne Saaye
Ki Gardan Par La Kar Jamaye.Isi Tarah Ek Ghanta Ya 100 Sawa 100 Minut Rojana
Kare Tamaam Amal Ke Dauran Uska Yeh Aqida Rasikh Ho Ki Anqareeb Uska Hamzad
Hazir Ho Kar Uski Suprdugi Me De Dega Dauran Amal Agar Haiz Ka Agaaz Ho Jaye To
Amal Tarq Na Kare , Jaari Rakhe Albatta Ese Zamane Me Na Kare Jabki Is Halat Me
Mubtala Ho Kuch Arsa Amal Karne Ke Baad Saya Dhundhla Ho Jayega Aur Uski Jagah
Rafta Rafta Roshni Se Mehsoos Hone Lagegi Aur Ek Din Wo Poore Taur Per Mut
Shakkal Ho Jayega.Iske Elawa Huma Aukaat Ankho Ke Samne Kuch Sitare Ya
Mutaharrik Nazar Anay Lagege.Awaze Bhi Aati Huyi Mehsoos Hone Lagege.Aamila Ko
In Surto Me In Tamaam Chizo Ko Nazar Undaaz Kar Ke Apna,Amal Jaari Rakhna
Chahiye Zara Si Galti Halaaqat Ya Digar Aafat Me Dhakel.Dene Ka Mujib Ho Sakta
Hai.Saaye Se Jo Khud Aamila Ka Hamzad Hoga,Guftugu Mana Hai ,Amal Ki Muddat
Poori Hone Ke Baad Jab Wah Mukhatib Ho Kar Pooche Ki Use Kis Liye Bulaya Gya
Hai,To Aamioa Ko Nihayat Khush Ikhlaq Ke Sath Batana Chahiye Ki Wah Use
Taskheer Karna Chahti Hai.Yeh Taskheer Ka Sabab Dayfit Karega To Aamila Bataye
Ki Mai Tujhse Bahot Se Jaiz Kaam Me Madat Lungi Maslan Mareezo Ke Amraaz Unki
Madad Gurekhta Ki Khabar Mangwaungi Jaha Chahungi Waha Bhej Kar Waha Ke Halat
Maloom Karwaungi,Barish Karwaungi.Bina Mausam Phal Phool Aur Mewajat
Mangwaungi.Teri Madat Se Kunjahan Aur Gabi Logo Ko Sabak Yaad Karaungi.Ek Jagah
Se Dusri Jagah Bhaari Se Bhaari Shay Mutkil Karaungi.Peshgoyio Me Tujhse Madad
Lungi.Dafino Ka Pata Chalaungi.Aur Bhi Bhot Se Kaam Karaungi. Hamzad Razamandi
Zahir Karega Aur Puchega Ki Kya Tu Mujhe Pet Bhar Khana Dega.Aamila Ko Is Mauka
Per Fauran Mana Kar Dena Chahiye Isliye Hamzad Ka Pet Koi Insan Nahi Bhar Sakta
Sirf 2 Rotiyo Ka Is Halat Me Wada Kare Jab Khud Aamila Ko Muyassar Aa Sake.Isi
Tarah Hum Aukat Paak Rehne Ka Wada Hargiz Na Kare.Isliye Hum Aukat Koi Shaqs
Paak Halat Me Nahi Reh Sakta. Aamila Khwateen Hamzad Se Jo Muaahda Kare Us Me
Ye Baat Apni Zaroor Manwa Le Ki Hamzad Hum Aukat Aamila Ke Saamne Na Rahe Aur
Na Har Waqt Kaam Talab Kare. Neez Muahada Tamam Umar Ka Na Kare.Chand Saal Kare
Aur Is Arse Ke Liye Bhi Yeh Tay Kare Kk Agar Aamila Ki Maut Ho Gya To Uski
Laash Maskh Aurna Koi Roohani Sadma Pahuchaye Garjik Muahada Me Poori Tarah
Mohtat Rahe Is Silsile Ki Majeed Hidayat Hum Kitab Ki Ibtida Me Badi Tafseel Se
Pesh Kar Chuki Hai . Khwateen Unhe Bhi Padh Le Aur Aisa Koi Kaam Na Kare Jiski
Wajah Se Baad Me Pachtana Padhe. Yeh Amal Ek Maah Ka Hai .Amal Se Faarig Hi Kar
Apne Kapde Pehan Liya Kare
For Muslim Amal-6
Aamil Ko.Is Amal Ka Aagaaz Karne Se Kabal
Nazar Zamane Ko Kaafi Mashk Kar Leni Chahiye Kyu Ki Is Amal Me Nazar Ka
Intehayi Taqatwar Hona Zaroori Hai.Aamila Amal Shuru Karte Waqt Paak Saaf Ho
Jaye Aur Ek Ghanta Kabal Us Sunsan Makan Per Pahuch Jaaye..Jo Pahle Hi Amal Ke
Liye Mutayyan Kiya Gya Ho.Ab Aamila Gurb Hote Huwe Aaftaab Se Aankhe Char Karte
Huye Yeh Khayal Kare Ki Wah Hamzad Ka Taskheer Kar Rahi Hai..Aur Ankareeb Hi
Hamzad Tabe-Aa Ho Jayega .Palak Hargiz Na Jhapkaye Aur Kuwwate Iraadi Ke Jariya
Khud Per Zayada Se Zayada Kaabu Paati Rahe Neez Har 15-20 Minut Baad 5 Minute
Ke Liye Aasman Per Nazar Jamaye Kuch Din Baad Aaftab Ki Surkhi Safedi Me
Tabdeel Ho Jayegi .Aur Yehi Safedi Rafta Rafta Siyahi Ikhtyaar Kar Legi.Yehi
Sipaahi Kabhi Badhti Rahegi Kabhi Insani Sir Ya Dhadh Ki Shakl Ikhtiyar Kar
Legi.Aur Kabhi Zahir Aur Kabhi Gayab Hoti Rahegi.Taqreeban Ek Maah Maad Yahi
Halat Pursukoon Ho Jayege.Aur Insani Dhancha Saamne Apma Shuru Ho Jayega.Us
Waqt Tak Aamila Ko Kisi Bhi Halat Se Mutassir Na Hona Chahaiye Aur Na Hi
Bhayanak Awaazo Se Darna Chahiye. Amal 40 Roz Tak Zaroor Rakhna Chahiye Waise
Hamzad Se Hamkalaam Se Waqt Hona Chahiye Jab Wah Guftugu Ka Aagaz Apni Taraf Se
Kare Jab Hamzad Hamkalam Ho Uske Sawaalat Ke Jawabaat Bhi Usi Ke Mutabiq De
Lekin Jawab Dene Me Koi Khilafe Osool Baat Muh Se Hargiz Na Nikale.Behtar Yahi
Hai Ki Hamari Idaayaat Ke Mutabiq Sawal Wa Jawab Kare Jo Hamne Ehtiyaatan Be
Shumaar Jagaho Per Likh Di Hai. Aamila Ke Liye Munasib Hai Ki Hamari Is Kitab
Ko Tamam Wa Kamaal Padhe Phir Taskheer Hamzad Ki Taraf Ruju Kare Warna Nuksan
Uthayegi.
:::
Note-Bina Izajat Ke Amal Nai Karna Warna Jaan Bhi Jaa Sakta Hai Kyun Ke Mukammal Tarika Nai Likhe Hain Hum (Please Share)
No comments:
Post a Comment