Saturday, 7 May 2016

Amilon Ke Liye Sharth


Aamilo Ke Liye Sharte Amliyaat Ke Ustaado Ki Likhi Huyi Kitabo Ke Adhyan Se Sabith Ho Gya Ki Aamil Ke Liye Sharton Ki Paabandi Zaroori Hai.

1) Islami Sharyat Ka Paband Ho.Shakal Wa Surat Momin Wa Muslim Ki Rakhta Ho.Namaz Roze Ka Paaband Ho

2) Haram Cheez Ko Paas Bhi Na Aane De

3) Zinakaari,Badkaari Aadi Se Bacha Rahe.

4) Halal Tarike Se Rozi Kama Kar Khane Ka Aadi Ho

5) Jhoot Bolnne Se Poori Tarah Bache

6) Haqdaaro Ka Haq Adaa Karta Rahe

7) Gibat,Chugli,Bad Zubani,Ashleel Baate,Buri Adate,Aur Tamaam Burayi Chodh De.Inse Tauba,Kare

8) Amal Shuru Karne Se Pahle Aamil Ko Chahiye Ki Gusal Kar Ke Pak Libas Pahne Aur Itar Lagaye

9) Amal Shuru Karne Se Pahle Khusbudar Dhuni Jaise Lobaan,Ond ,Agarbatti Ya Isee Prakaar Ki Koi Cheez Silgaye.

10) Amliyaat Me Tarq Haiwanat Ki Bhi Shart Zaroori Hoti Hai.Jadi Aisa Amal Jinme Tarq Haiwanat Kiya Jaye Atharth Amal Ke Dino Me Gosht ,Doodh,Ghee,Anda,Machli, Lehsun,Piyaz Aur Isee Prakar Ki Dusri Cheeze Bilkul Istemal Na Kare.Jadi Aisa Kiya Gya To Kud Ko Sakht Khatra Hai.

11) Fakeer Wa Miskeen Ke Sath Accha Sulooq Kare Aur Khairat Zakaat Se Hath Na Roke
Most Share

No comments:

Post a Comment